Ghairat ka taqaza yeh hai keh Facebook ko istimaal nahi kia jaye. Nabi ki Muhabbat ain-e-Iman hai. Is mein kisi kism ki koi lachak nahi. Jo Nabi ki adna si gustakhi ka saath bhi de naoozubillah, us se mukammal tor pur qata talluk karna chahiye. Us ki taraf dekhna bhi gawarah nahi. Kia sirf doston kay liye nabi kay dushmanon ki cheezon ko istimaal karna sahih hai? Agr aap kay walid ko koi gali de to aap zindagi bhar us shakhs ka mun tak nahi dekhain gi. Us ki koi dukan ho to aap us ki dukan se cheezain bhi khareedna pasand nahi karain gi. Walid kia, aap ko koi gali de tab bhi yehi sulook hoga. kia Allah kay nabi hamaray liye walid se barh kar nahi? Jab Umar ne farmaya, Aye Allah kay nabi mujhay apnay biwi bachon se ziada aap se muhabbat hai. To Allah kay nabi ne farmaya, Nahi Umar, jab tak apnay aap se bhi ziada nahi. To farmaya, Aye Allah kay nabi, mujhe apnay aap se bhi ziada Muhabbat hai aap se.. Phir Allah kay Nabi ne farmaya, Haan ‘Umar.. AB... (Iman mukammal hai)