Thread
:
Are nadwa, maulana ali mian associated to deoband?
View Single Post
09-04-2012, 03:22 AM
#
20
tussinelde
Join Date
Oct 2005
Posts
311
Senior Member
magar likha hua ka to etibar ho sakta hay na. Mein Nadwa kay khilaf bilkul nahin hoon aur main lucknow mein ghar nadwa say qareeb hay. Meiney sirf is ki wazahat kee hay ki nadwa mein aur deoband kay maslak mein jo farq hay wo kyun ay. Aur yay kitab online hay aur maulana Ali Mian (rahmatulla alihi) ki likhi hoi hay. Is main koi ghair mustanad baat to nahin. Hazrat (rahmatulla alhi) nay khud he nadwa kay barey mein page 23 par likh diya basair mein. Padh lijiyay. Baat sirf is ki hay kay jab salafi log jaisay Mukhtar Nadwi jo ki Hazrat (rahmatallu alihi) kay yahan padh kar apnay ko nadwi likh kar aur phir hazrat aur nadwa aur hanfiat kay khilaf baten karey to confusion hota hay ki yay hay nadwi aur hanafi kay khilaf baatein likhta hay. Aur bittahqeeq yay baat ek dam musallam hay, meiney nadway kay ulema say bhi tahqeeq ki hay aur wasa he hay jaysa ki hazrat (rahmatulla alhi) nay likha hay. Baqi, is say Hazrat (rahamtulla alihi) ki shaan mein ghustaakhi ya bey adabai bilkul maqsuud nahin. Hazrat ka ihsan ummat par qiyamat tak rahey ga inshaAllah.
Quote
tussinelde
View Public Profile
Find More Posts by tussinelde
All times are GMT +1. The time now is
10:49 PM
.