|
![]() |
#1 |
|
Assalamu Alaykum Wrwb
Islam fitri deen hai aur usko hamare liye Allah ne pasand kiya aur sarkar e do alam sallellahu alayhiwasallam k zariye ham tak sari hayat e zindagi kaise guzaren pahuncha diya islam mukammal deen hai koi aise cheez nahi isme nahi ho agar hame wo na mile to hamare ilm ki kami ya phir tahqeeq na karne ki wajhe se hai al muheem mauzu ki taraf aate hain Familye planning islam me jaiz nahi ye haram hai aur Allah ki nemat aur barkat ko thukrana hai Iske dalail ham Quran aur hadees se dete hain Says Allah in the Qur'an: "So set you your face steadily and truly to the Faith: (Establish) Allah's handiwork according to the pattern on which He has made humankind: no change (let there be) in the work (wrought) by Allah: that is the standard Religion: but most among mankind understand not." (Al-Qur'an 30:30) Bas aap sab ek so hoke apna muh deen ki taraf mutawajje karden, Allah tala ki wo fitrat jispar usne logon ko paida kiya hai, Allah tala k banaye huye ko badalna nahi yahi seedha deen hai, lekin aksar loog nahi samajhte. The Prophet (pbuh) is reported to have said: "Marry the one who is loving and fertile, for I will be proud of your great numbers before the nations [i.e., on the Day of Resurrection]." (Abu Dawood Hadith no. 2050, Classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh Abi Dawood, 1805) Allah k Rasul s.a.w ne farmaya shadi karo us se jo zyada mohabbat karnewali aur zyada bache janne wali ho, kal qayamat k din main apni ummat ki katheer tedat par faqr karunga Agar ham apne jism k aaza ko badal rahe hain jaise mard nasbandi karate hain ya phir aurat ki bachedani nikal dete hain to upar ki aayat aur hadees par gaur Karen Allah k banaye huyi jism me tabdeeli karna ye sahi nahi balke khilaf e ilahi hai agar insan rizq ke dar se family planning karta hai to bilkul galat hai uska Allah tala par bharosa sahih nahi hai Allah says in the Glorious Qur'an "...kill not your children on a plea of want; We provide sustenance for you and for them;" (Al-Qur'an 6:151) Aur apni aulaad ko iflaas (muflisi) ke darse qatal mat karo, ham tumko aur unko rizq dete hain "Kill not your children for fear of want: We shall provide sustenance for them as well as for you: verily the killing of them is a great sin." (Al-Qur'an 17:31) Aur muflisi k khauf se apni aulaad ko na maar dalo, inko aur tumko ham rozi dete hain, yaqeenan inka qatl karna kabeerah gunah hai In aayaton se saaf zahir hota hai k family planning haram hai aur kabeerah gunahon me se hai faimly planning ke bare main jo ijazat hai uska naam azal karna yani mard apni mani ko bahar nikal de to usmen koi harj nahi hai jaisa ke sahaba kiya karte the عَنْ جَابِرٍ قَالَ كُنَّا نَعْزِلُ عَلَى عَهْدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ This is based on the Hadith of Jabir (RA) who said: "We used to practice ('Azl) coitus interruptus during the days when the Qur'an was being revealed". Jabir added: "We used to practice coitus interruptus during the lifetime of Allah's Messenger while the Qur'an was being revealed." (Sahih Bukhari vol. 7, Hadith no. 136) Jabir r.a farmate hain ke hum rasool ke zamane main azal kiya karte the jab k Quran nazil ho raha tha Lekin ye tareeqa khud 100 fisad safe nahi hai bahut se loug azal karte uske bawajood hamal thehar jaata hai hame family planning se parhez karna chahiye aur aise amal se tauba karni chahiye Allah hame deen ki sahi samajh aata farmaye Aameen |
![]() |
Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
|