Reply to Thread New Thread |
10-14-2009, 09:01 AM | #1 |
|
Hazrat Umer (R.A) jab kesi ko kesi elaqy ka Governer bana ker bhejty tu Sahaba ikram ky samny ussy taqarari ka ferman ayanet kerty thy. Her governer sy ye ehad liya jata tha:
Wo turki ghore (horse) per sawar nai ho ga Bareek kapre nai pehny ga Ata chan ker istamal nai kare ga Dervazy per darban nai rukhy ga Zaroratmando ky leye dervaza khula rukhy ga Ye tamam sharait taqarari ky pervany mai derj b ki jate theen. In ko aam majmy mai pher ker sunaya b jata tha. Governers ky bare mai shikayat b ate theen. In ki tehqeqat ke leye aik khas ohda qaim kiya gaya tha, iss ohdy ky afser Hazrat Muhammad bin musalma Ansari (R.A) thy. Adalti nizam b app ky dor mai suru hova .qazi muqarar keye gaye. Adalto sy hazrat Umer (R.A) ny aik ferman jari fermaya tha.iss mai adalti ahkamat derj thy is mai likha tha. Qazi ko tamam logo ky sath yaksan bertao kerna ho ga. Muqadmy ki peshi ki aik tareekh muqarar honi chahyeah Qazi khud muqadmy ka fysla kerne ky bad uss per nazar sani ker sakta ha. Her musalman shahadat dyne ky qabil ha. Lakin jo mohiz saza yafta hoo ya jiss ka jhoti gavahi dyna sabit ho wo shahadat ky qabil nai. Goor fermain. Asy tamam ehkamat jo iss jaded dor mai nafiz keye gaye han wo hazrat Umer (R.A) ny bata deye thy.. |
|
Reply to Thread New Thread |
Currently Active Users Viewing This Thread: 1 (0 members and 1 guests) | |
|